Shahr-e-hawa Mein Jalte Rahna Andeshon Ki ChaukhaT Par

shahr-e-hawa mein jalte rahna andeshon ki chaukhaT par

raat gae tak uljhe rahna be-mafhum KHayalon mein

qasr-e-umr gawahi dega kaise kaise karb sahe

kaisi kaisi rut guzri hai hum par itne salon mein

dosh-e-KHala se KHak-e-zamin par utre to ehsas hua

tare banTne wale rahi paD gae kin janjalon mein

le aai kis qarya-e-shab mein ek jhuTe mahtab ki chah

saya saya bhaTak raha hun be-tanwir ujalon mein

mausam mausam yahi raha gar KHushbu ki tahqir ka rang

sise ki kaliyan phuTengi ab lohe ki Dalon mein

'sajid' ab tak bhugat rahe hain ek be-ant saza ki umr

apna nam likha baiThe the ek din jine walon mein

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-hawa Mein Jalte Rahna Andeshon Ki ChaukhaT Par In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Shahr-e-hawa Mein Jalte Rahna Andeshon Ki ChaukhaT Par is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Shahr-e-hawa Mein Jalte Rahna Andeshon Ki ChaukhaT Par for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Shahr-e-hawa Mein Jalte Rahna Andeshon Ki ChaukhaT Par in PDF.