Tark-e-talluq Kar To Chuke Hain Ek Imkan Abhi Baqi Hai

tark-e-talluq kar to chuke hain ek imkan abhi baqi hai

ek mahaz se lauT aae hain ek maidan abhi baqi hai

shayad us ne hansi hansi mein tark-e-wafa ka zikr kiya ho

yunhi si ek KHush-fahmi hai itminan abhi baqi hai

raaten us ke hijr mein ab bhi naza ke aalam mein kaTti hain

dil mein waisi hi wahshat hai tan mein jaan abhi baqi hai

bachpan ke is ghar ke sare kamre maliya-meT hue

jis mein hum khela karte the wo dalan abhi baqi hai

diye munDer pa rakh aate hain hum har sham na jaane kyun

shayad us ke lauT aane ka kuchh imkan abhi baqi hai

ek adalat aur hai jis mein hum tum ek din hazir honge

faisla sun kar KHush mat hona ek mizan abhi baqi hai

(1101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tark-e-talluq Kar To Chuke Hain Ek Imkan Abhi Baqi Hai In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Tark-e-talluq Kar To Chuke Hain Ek Imkan Abhi Baqi Hai is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Tark-e-talluq Kar To Chuke Hain Ek Imkan Abhi Baqi Hai for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Tark-e-talluq Kar To Chuke Hain Ek Imkan Abhi Baqi Hai in PDF.