Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukun Tha Na Qarar Tha

tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha

yahi umr thi mere ham-nashin ki kisi se mujh ko bhi pyar tha

main samajh raha hun teri kasak tera mera dard hai mushtarak

isi gham ka tu bhi asir hai isi dukh ka main bhi shikar tha

faqat ek dhun thi ki raat-din isi KHwab-zar mein gum rahen

wo surur aisa surur tha wo KHumar aisa KHumar tha

kabhi lamha-bhar ki bhi guftugu meri us ke sath na ho saki

mujhe fursaten nahin mil sakin wo hawa ke rath par sawar tha

hum ajib tarz ke log the ki hamare aur hi rog the

main KHizan mein us ka tha muntazir use intizar-e-bahaar tha

use paDh ke tum na samajh sake ki meri kitab ke rup mein

koi qarz tha kai sal ka kai rat-jagon ka udhaar tha

(1382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukun Tha Na Qarar Tha In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukun Tha Na Qarar Tha is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukun Tha Na Qarar Tha for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukun Tha Na Qarar Tha in PDF.