Tilism-zar-e-shab-e-mah Mein Guzar Jae

tilism-zar-e-shab-e-mah mein guzar jae

ab itni raat gae kaun apne ghar jae

ajab nasha hai tere qurb mein ki ji chahe

ye zindagi teri aaghosh mein guzar jae

main tere jism mein kuchh is tarah sama jaun

ki tera lams meri ruh mein utar jae

misal-e-barg-e-KHizan hai hawa ki zad pe ye dil

na jaane shaKH se bichhDe to phir kidhar jae

main yun udas hun imshab ki jaise rang-e-gulab

KHizan ki chap se be-saKHta utar jae

hawa-e-sham-e-judai hai aur gham lahaq

na jaane jism ki diwar kab bikhar jae

agar na shab ka safar ho tere husul ki shart

farogh-e-mahr tera e'tibar mar jae

(1107) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilism-zar-e-shab-e-mah Mein Guzar Jae In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Tilism-zar-e-shab-e-mah Mein Guzar Jae is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Tilism-zar-e-shab-e-mah Mein Guzar Jae for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Tilism-zar-e-shab-e-mah Mein Guzar Jae in PDF.