Ye Kya Haalat Bana Rakkhi Hai Ye Aasar Kaise Hain

ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain

bahut achchha-bhala chhoDa tha ab bimar kaise

wo mujh se puchhne aai hai kuchh likkha nahin mujh par

main us ko kaise samjhaun mere ashaar kaise hain

meri sochen hain kaisi kaun in sochon ka markaz hai

jo mere zehn mein palte hain wo afkar kaise hain

mere dil ka alawon aaj tak dekha nahin jis ne

wo kya jaane ki shoale surat-e-izhaar kaise hain

ye mantiq kaun samjhega ki yaKH-kamre ki ThanDak mein

mere alfaz ke malbus shoala-bar kaise hain

zara si ek farmaish bhi puri kar nahin sakte

mohabbat karne wale log bhi lachaar kaise hain

judai kis tarah bartaw hum logon se karti hai

mizajan ham-suKHnawar be-dil-o-be-zar kaise hain

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kya Haalat Bana Rakkhi Hai Ye Aasar Kaise Hain In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Ye Kya Haalat Bana Rakkhi Hai Ye Aasar Kaise Hain is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Ye Kya Haalat Bana Rakkhi Hai Ye Aasar Kaise Hain for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Ye Kya Haalat Bana Rakkhi Hai Ye Aasar Kaise Hain in PDF.