Sahra-e-la-hudud Mein Tishna-labi Ki KHair

sahra-e-la-hudud mein tishna-labi ki KHair

mahaul-e-ashk-bar mein lab ki hansi ki KHair

laffaz sare ban gae shah-e-suKHan yahan

sadiq suKHan-waron ki suKHan-parwari ki KHair

mashriq mein hind-o-chin ke bazar yun baDhe

jah-o-jalal-e-maghribo-bartanawi ki KHair

hai auraton ki dhum zamin se falak talak

sai-e-baqa-e-shaukat-e-mardanagi ki KHair

arzan hai musht-e-KHak se insan ki hayat

tahzib-e-qatl-o-KHun mein ab zindagi ki KHair

har samt qatl-e-am hai mazhab ke nam par

sari aqidaton ki KHuda-parwari ki KHair

jamhuriyat ki lash pe taqat hai KHanda-zan

is barahna nizam mein har aadmi ki KHair

sara watan samajh chuka dair-o-haram ka sach

bad-kar rahbaran ki bazigari ki KHair

urdu ghazal ke nam pe chalte hain chuTkule

ghaalib ke faiz 'mir' ki us sahiri ki KHair

maghrib se aa gai yahan tahzib-e-barahna

mashriq teri riwayati pakizgi ki KHair

andhe parakh rahe yahan mear-e-raushni

didawar-e-hunar teri dida-wari ki KHair

(995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra-e-la-hudud Mein Tishna-labi Ki KHair In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Sahra-e-la-hudud Mein Tishna-labi Ki KHair is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Sahra-e-la-hudud Mein Tishna-labi Ki KHair for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Sahra-e-la-hudud Mein Tishna-labi Ki KHair in PDF.