Sham Aai Hai Liye Hath Mein Yaadon Ke Charagh

sham aai hai liye hath mein yaadon ke charagh

wo tere sath guzare hue lamhon ke charagh

mere is ghar mein andhera kabhi hota hi nahin

hain mere sine mein jalte hue zaKHmon ke charagh

lakh tufan hon kuTiya meri raushan hi rahi

ek barsat se bujhne lage mahlon ke charagh

zindagi talKH haqiqat ki hai andhi si gali

apni aankhon mein jalate raho sapnon ke charagh

ek muddat se dhadhakta raha mera ye zehn

tab kahin ja ke farozan hue lafzon ke charagh

KHud ka hi nur kiya karta hai raushan dil ko

raushni tujh ko bhala kaise den ghairon ke charagh

sari duniya ko KHuda ek hi suraj de de

kash bujh jaen zamane se ye firqon ke charagh

ab to jamhur ki taqat ka hi suraj hai 'sahab'

ab zamane mein kahan jalte hain shahon ke charagh

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Aai Hai Liye Hath Mein Yaadon Ke Charagh In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Sham Aai Hai Liye Hath Mein Yaadon Ke Charagh is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Sham Aai Hai Liye Hath Mein Yaadon Ke Charagh for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Sham Aai Hai Liye Hath Mein Yaadon Ke Charagh in PDF.