Wahi Hain Qatl-o-ghaarat Aur Wahi Kohram Hai Saqi

wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi

tamaddun aur mazhab ki ye KHuni sham hai saqi

kalam-e-fan mera ab tak nihan hai aise duniya se

ki jyun abdulhai mein ek alif gumnam hai saqi

meri gang-o-jaman tahzib ki duKHtar hai ye urdu

ise muslim banane ki ye sazish aam hai saqi

karenge amn ki baaten dilon mein bughz rakkhenge

yahi rasm-e-jahan aur fitrat-e-aqwam hai saqi

qad-a-shair ke badle dekhiye meayar sheron ka

faqat itna meri ghazlon ka ye paigham hai saqi

aruz-o-ilm ki talim mujh ko kab rahi hasil

mera ustad to bas ye gham-e-ayyam hai saqi

wahi ghaalib hai ab to jo KHaride shohraten apni

rubai bechne wala umar-'KHayyam' hai saqi

ye ghazlen ghaib se nazil nahin ashkon ka hasil hain

mera ye dard hi sab se baDa ilham hai saqi

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Hain Qatl-o-ghaarat Aur Wahi Kohram Hai Saqi In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Wahi Hain Qatl-o-ghaarat Aur Wahi Kohram Hai Saqi is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Wahi Hain Qatl-o-ghaarat Aur Wahi Kohram Hai Saqi for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Wahi Hain Qatl-o-ghaarat Aur Wahi Kohram Hai Saqi in PDF.