Ek Yaad So Rahe Ko UThati Hai Aaj Bhi

ek yaad so rahe ko uThati hai aaj bhi

KHud jagti hai mujh ko jagati hai aaj bhi

ye kaisi mutriba hai jo chhup kar jahan se

dhime suron mein raat ko gati hai aaj bhi

sadiyan guzar gain jise Dube hue yahan

us ko sada-e-shauq bulati hai aaj bhi

jis shahr-e-arzu ke nishanat miT gae

dil ki nigah phir wahin jati hai aaj bhi

honTon pe bar bar zaban pherta tha jo

us qafile ki pyas rulati hai aaj bhi

parbat ki choTiyon pe wo roti hui ghaTa

kis hadse pe nir bahati hai aaj bhi

bas ek hi bala hai mohabbat kahen jise

wo paniyon mein aag lagati hai aaj bhi

har roz aa ke KHwab mein pazeb ki sada

dhaDkan hamare dil ki baDhati hai aaj bhi

'hasrat' koi to kho gaya umr-e-aziz ka

jo nange panw dauDti jati hai aaj bhi

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Yaad So Rahe Ko UThati Hai Aaj Bhi In English By Famous Poet Ajeet Singh Hasrat. Ek Yaad So Rahe Ko UThati Hai Aaj Bhi is written by Ajeet Singh Hasrat. Read famous Poem Ek Yaad So Rahe Ko UThati Hai Aaj Bhi for youth and Student by Ajeet Singh Hasrat. Free Download Ek Yaad So Rahe Ko UThati Hai Aaj Bhi in PDF.