Jab Kabhi Madd-e-muqabil Wo RuKH-e-zeba Hua

jab kabhi madd-e-muqabil wo ruKH-e-zeba hua

aaina bhi rah gaya hairat se munh takta hua

fasl-e-gul mein hai shikast-o-reKHt ka aaina-dar

ek ek tinka nasheman ka mere bikhra hua

mahw-e-hairat hun KHarash-e-dast-e-gham ko dekh kar

zaKHm chehre par hain ya hai aaina TuTa hua

abr-e-gham barse to ashkon ki rawani dekhna

sahil-e-mizhgan pe hai tufan abhi Thahra hua

iKHtilaf-e-zehn-e-fitrat zindagani ka sarab

ishtirak-e-bahami hi maujib-e-dariya hua

jab main un se kah chuka apni hadis-e-ranj-o-gham

un ki shoKHi dekhiye kahne lage par kya hua

main samajh paya na 'ajiz' ye tilism-e-rahbar

har qadam par manzil-e-maqsud ka dhoka hua

(1246) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Kabhi Madd-e-muqabil Wo RuKH-e-zeba Hua In English By Famous Poet Ajiz Matvi. Jab Kabhi Madd-e-muqabil Wo RuKH-e-zeba Hua is written by Ajiz Matvi. Read famous Poem Jab Kabhi Madd-e-muqabil Wo RuKH-e-zeba Hua for youth and Student by Ajiz Matvi. Free Download Jab Kabhi Madd-e-muqabil Wo RuKH-e-zeba Hua in PDF.