Jahan Na Dil Ko Sukun Hai Na Hai Qarar Mujhe

jahan na dil ko sukun hai na hai qarar mujhe

ye kis maqam pe le aai yaad-e-yar mujhe

ye baat sach hai main barg-e-KHizan-rasida hun

magar salam kiya karti hai bahaar mujhe

sitam ye hai wo kabhi bhul kar nahin aaya

tamam umr raha jis ka intizar mujhe

bas apne-ap sanwarna bhi koi baat hui

tu apni zulf ki surat kabhi sanwar mujhe

abas hai dosto tashrih-e-wada-e-farda

ab is ka zikr bhi hota hai nagawar mujhe

tamam umr jhulasta raha main sahra mein

kahin shajar nazar aaya na saya-dar mujhe

bahaar-e-nau ye haqiqat hai ya fareb-e-nigah

libas-e-gul nazar aata hai tar tar mujhe

gunah jis se na sarzad hua ho ai 'ajiz'

usi ko haq hai wo kah de gunahgar mujhe

(1105) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Na Dil Ko Sukun Hai Na Hai Qarar Mujhe In English By Famous Poet Ajiz Matvi. Jahan Na Dil Ko Sukun Hai Na Hai Qarar Mujhe is written by Ajiz Matvi. Read famous Poem Jahan Na Dil Ko Sukun Hai Na Hai Qarar Mujhe for youth and Student by Ajiz Matvi. Free Download Jahan Na Dil Ko Sukun Hai Na Hai Qarar Mujhe in PDF.