Maujud Hain Wo Bhi Baalin Par Ab Maut Ka Talna Mushkil Hai

maujud hain wo bhi baalin par ab maut ka Talna mushkil hai

ik-tarfa kashakash naza mein hai dam ka bhi nikalna mushkil hai

anjaane mein jo be-rah chale wo rah pe aa sakta hai magar

be-rah chale jo danista bas us ka sambhalna mushkil hai

zahir na sahi dar-parda sahi dushman bhi hifazat karte hain

kanTe hon nigahban jis gul ke us gul ka masalna mushkil hai

hain ishq ki rahen pechida manzil pe pahunchna sahl nahin

raste mein agar dil baiTh gaya phir us ka sambhalna mushkil hai

aaghaz-e-mohabbat mein 'ajiz' rukti na thi mauj-e-ashk-e-rawan

anjam ab in KHushk aankhon se ek ashk nikalna mushkil hai

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maujud Hain Wo Bhi Baalin Par Ab Maut Ka Talna Mushkil Hai In English By Famous Poet Ajiz Matvi. Maujud Hain Wo Bhi Baalin Par Ab Maut Ka Talna Mushkil Hai is written by Ajiz Matvi. Read famous Poem Maujud Hain Wo Bhi Baalin Par Ab Maut Ka Talna Mushkil Hai for youth and Student by Ajiz Matvi. Free Download Maujud Hain Wo Bhi Baalin Par Ab Maut Ka Talna Mushkil Hai in PDF.