Mai-KHane Par Kale Baadal Jab Ghir Ghir Kar Aate Hain

mai-KHane par kale baadal jab ghir ghir kar aate hain

hum bhi aankhon ke paimane bhar bhar kar chhalkate hain

main jin ko apna kahta hun kab wo mere kaam aate hain

ye sara sansar hai sapna sab jhuTe rishte-nate hain

tanhai ke bojhal lamhe hum is tarah bitate hain

dil hum ko deta hai tasalli hum dil ko samjhate hain

jiwan ki gutthi ka sulajhna kaam hai ek na-mumkin sa

girhen paDti hi jati hain hum jitna suljhate hain

un ki qismat mein jalna hai kaun un se kahta hai jalen

parwane dipak par aa kar apne-ap jal jate hain

jiwan bita lekin ab tak main na samajh paya ye bhed

bite dinon ki yaad aate hi aansu kyun bhar aate hain

wo jab apna sar Dhakte hain khul jate hain un ke pair

jo apni chadar se ziyaada pair apne phailate hain

hota hai mahsus ye 'ajiz' shayad us ne dastak di

tez hawa ke jhonke jab darwaze se Takraate hain

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-KHane Par Kale Baadal Jab Ghir Ghir Kar Aate Hain In English By Famous Poet Ajiz Matvi. Mai-KHane Par Kale Baadal Jab Ghir Ghir Kar Aate Hain is written by Ajiz Matvi. Read famous Poem Mai-KHane Par Kale Baadal Jab Ghir Ghir Kar Aate Hain for youth and Student by Ajiz Matvi. Free Download Mai-KHane Par Kale Baadal Jab Ghir Ghir Kar Aate Hain in PDF.