Aazar Bahut Lazzat-e-azar Bahut Hai

aazar bahut lazzat-e-azar bahut hai

dil dast-e-sitam-gar ka talabgar bahut hai

iqrar ki manzil bhi zarur aaegi ek din

is waqt to bas lazzat-e-inkar bahut hai

yaran-e-safar koi dawa DhunD ke lao

insan mere daur ka bimar bahut hai

han dekhiyo irfan-e-baghawat na jhulas jae

manzar meri duniya ka sharar-bar bahut hai

hum ghar ki panahon se jo nikle to ye jaana

hangama pas-e-saya-e-diwar bahut hai

qatil ki inayat ka maza aur hai warna

jaan lene ko ye sans ki talwar bahut hai

kya log hain ye soch ke baiThe hun gharon mein

bas zulm se be-zari ka izhaar bahut hai

haalat-e-zamana se laraz jate hain 'ajmal'

yun hai ki zamane se hamein pyar bahut hai

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazar Bahut Lazzat-e-azar Bahut Hai In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Aazar Bahut Lazzat-e-azar Bahut Hai is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Aazar Bahut Lazzat-e-azar Bahut Hai for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Aazar Bahut Lazzat-e-azar Bahut Hai in PDF.