Ai Husn Jab Se Raaz Tera Pa Gae Hain Hum

ai husn jab se raaz tera pa gae hain hum

hasti se apni aur qarib aa gae hain hum

yun bhi hua ki jaan ganwa di tere liye

yun bhi hua ki tujh se bhi katra gae hain hum

rah-e-wafa mein aise maqamat bhi mile

apna sar-e-niyaz bhi Thukra gae hain hum

yaadash-ba-KHair ek gul-e-shadab the kabhi

aisi KHizan paDi hai ki kumhla gae hain hum

subh-e-visal thi to tabiat thi bagh bagh

sham-e-firaq aai to sanwla gae hain hum

insan teri fath pe ab bhi yaqin hai

go apni zindagi se bhi ghabra gae hain hum

mahrumiyon ka bar-e-giran dosh par liye

ai maut sun ki tere qarib aa gae hain hum

apne subu mein talKHi-e-dauran sameT kar

ba-sad-KHulus nosh bhi farma gae hain hum

tariKH-e-inqilab-e-zamana se puchh lo

jab jab sada mili sar-e-dar aa gae hain hum

'ajmal' jab un ki bazm mein chheDi hai dil ki baat

apne to KHair ghair ko taDpa gae hain hum

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Husn Jab Se Raaz Tera Pa Gae Hain Hum In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Ai Husn Jab Se Raaz Tera Pa Gae Hain Hum is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Ai Husn Jab Se Raaz Tera Pa Gae Hain Hum for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Ai Husn Jab Se Raaz Tera Pa Gae Hain Hum in PDF.