Teri Nazar Bhi Nahin Harf-e-muddaa Bhi Nahin

teri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin

KHuda-gawah mere pas kuchh raha bhi nahin

hazar manzil-e-gham se guzar chuke lekin

abhi junun-e-mohabbat ki ibtida bhi nahin

gham-e-firaq ye shab kis tarah se guzregi

ki ab to aas ki mauhum si ziya bhi nahin

na jaane kis liye ab bhi hai dil se baDh ke aziz

siyah-dil bhi nahin aur parsa bhi nahin

jo sach kahun to mohabbat-shiar 'ajmal' mein

hazar aib sahi aadmi bura bhi nahin

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Nazar Bhi Nahin Harf-e-muddaa Bhi Nahin In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Teri Nazar Bhi Nahin Harf-e-muddaa Bhi Nahin is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Teri Nazar Bhi Nahin Harf-e-muddaa Bhi Nahin for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Teri Nazar Bhi Nahin Harf-e-muddaa Bhi Nahin in PDF.