Waqt-e-safar Qarib Hai Bistar SameT Lun

waqt-e-safar qarib hai bistar sameT lun

bikhra hua hayat ka daftar sameT lun

phir jaane hum milen na milen ek zara ruko

main dil ke aaine mein ye manzar sameT lun

yaron ne jo suluk kiya us ka kya gila

phenke hain doston ne jo patthar sameT lun

kal jaane kaise hon ge kahan honge ghar ke log

aankhon mein ek bar bhara ghar sameT lun

tar-e-nazar bhi gham ki tamazat se KHushk hai

wo pyas hai mile to samundar sameT lun

'ajmal' bhaDak rahi hai zamane mein jitni aag

ji chahta hai sine ke andar sameT lun

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt-e-safar Qarib Hai Bistar SameT Lun In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Waqt-e-safar Qarib Hai Bistar SameT Lun is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Waqt-e-safar Qarib Hai Bistar SameT Lun for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Waqt-e-safar Qarib Hai Bistar SameT Lun in PDF.