Alag Alag Tasiren In Ki, Ashkon Ke Jo Dhaare Hain

alag alag tasiren in ki, ashkon ke jo dhaare hain

ishq mein Tapken to hain moti, nafrat mein angare hain

tum se mil kar khil uThta tha, tum se chhuT ke phika hun

ai rangrez mere chehre ke sare rang tumhaare hain

garmi ki lu mein tapne ke baad hi pani ka hai maza

tujh ko jitna aasan tha, hum jaan ke tujh ko haare hain

ai purwai meri KHushbu us chaukhaT ke dam se hai

tu bhi guzar ke dekh jahan main ne kuchh lamhe guzare hain

munh se batao ya na batao tum hum ko dil ki baaten

jaan-e-man ye nain tumhaare, ye jasus hamare hain

aisi baat milan mein kab hogi jaisi is pal mein hai

sab ke bich mein main hun, wo hai or KHamosh ishaare hain

tere munh par teri hum ne kabhi na ki tarif zara

likhne baiThe to kaghaz par rakh diye chand sitare hain

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alag Alag Tasiren In Ki, Ashkon Ke Jo Dhaare Hain In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. Alag Alag Tasiren In Ki, Ashkon Ke Jo Dhaare Hain is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem Alag Alag Tasiren In Ki, Ashkon Ke Jo Dhaare Hain for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download Alag Alag Tasiren In Ki, Ashkon Ke Jo Dhaare Hain in PDF.