Dukhe Dilon Pe Jo PaD Jae Wo Tabib Nazar

dukhe dilon pe jo paD jae wo tabib nazar

to bagh-e-dil mein bhi aa jaen andalib nazar

har ek subh wazu karti hain meri aankhen

ki shayad aaj to aa jae wo habib nazar

isi tarah se rah-e-yar ko take jaana

had-e-nazar ko gira degi an-qarib nazar

tu intizar se chhuT kar hai KHush magar mujh ko

ghaDi judai ki aane lagi qarib nazar

bujha do sham-e-mohabbat jala do gulshan-e-ishq

Dara sakegi na aashiq ko ye muhib nazar

jamal-o-husn ke qael hain us ke sab 'ajmal'

bas ek tum hi yahan rakhte ho ajib nazar

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukhe Dilon Pe Jo PaD Jae Wo Tabib Nazar In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. Dukhe Dilon Pe Jo PaD Jae Wo Tabib Nazar is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem Dukhe Dilon Pe Jo PaD Jae Wo Tabib Nazar for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download Dukhe Dilon Pe Jo PaD Jae Wo Tabib Nazar in PDF.