Zindagi Roz Banati Hai Bahane Kya Kya

zindagi roz banati hai bahane kya kya

jaane rahte hain abhi khel dikhane kya kya

sirf aankhon ki nami hi to nahin mazhar-e-gham

kuchh tabassum bhi jata dete hain jaane kya kya

KHaTken is aankh mein to dhaDken kabhi us dil mein

dar-ba-dar ho ke bhi apne hain Thikane kya kya

bol paDta to meri baat meri hi rahti

KHamushi ne hain diye sab ko fasane kya kya

shahr mein rang jama ganw mein faslen ujDin

hashr uThaya bina mausam ki ghaTa ne kya kya

KHwab o ummid ka haq, aah ka fariyaad ka haq

tujh pe war aae hain ye tere diwane kya kya

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Roz Banati Hai Bahane Kya Kya In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. Zindagi Roz Banati Hai Bahane Kya Kya is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem Zindagi Roz Banati Hai Bahane Kya Kya for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download Zindagi Roz Banati Hai Bahane Kya Kya in PDF.