Ro Ro Ke Bayan Karte Phiro Ranj-o-alam KHub

ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam KHub

hasil nahin kuchh bhi jo na ho rang-e-qalam KHub

bazar mein ek chiz nahin kaam ki mere

ye shahr meri jeb ka rakhta hai bharam KHub

manzil to kisi KHas ko hi milti hai, warna

dekhe to sabhi ne hain mere naqsh-e-qadam KHub

ye Thik hai rishte mein bandha rahta hai ab dil

is kabe mein hota tha kabhi jashn-e-sanam KHub

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ro Ro Ke Bayan Karte Phiro Ranj-o-alam KHub In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. Ro Ro Ke Bayan Karte Phiro Ranj-o-alam KHub is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem Ro Ro Ke Bayan Karte Phiro Ranj-o-alam KHub for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download Ro Ro Ke Bayan Karte Phiro Ranj-o-alam KHub in PDF.