Na Nazar Se Koi Guzar Saka Na Hi Dil Se Malba HaTa Saka

na nazar se koi guzar saka na hi dil se malba haTa saka

na wo dar bacha na wo ghar bacha tere baad koi na aa saka

na wo his kisi mein na tab hai mera gham to KHair uThae kaun

wo jo misra gham ka tha tarjuman koi us ko bhi na uTha saka

kabhi KHauf tha tere hijr ka kabhi aarzu ke zawal ka

raha hijr-o-wasl ke darmiyan tujhe kho saka na main pa saka

mere dil mein tuKHm-e-yaqin rakh de lachak tu shaKH-e-mizaj ko

wo chaman khila mere baghban jo chaman koi na khila saka

mere sath su-e-junun chal mere zaKHm kha mera raqs kar

mere sher paDh ke milega kya pata paDh ke ghar koi pa saka?

jo likho ibarat-e-ishq tum to ana ka koi na pech ho

jo lab-e-dawat pe jhuk gaya wo qalam hi naqsh bana saka

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Nazar Se Koi Guzar Saka Na Hi Dil Se Malba HaTa Saka In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. Na Nazar Se Koi Guzar Saka Na Hi Dil Se Malba HaTa Saka is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem Na Nazar Se Koi Guzar Saka Na Hi Dil Se Malba HaTa Saka for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download Na Nazar Se Koi Guzar Saka Na Hi Dil Se Malba HaTa Saka in PDF.