Dil Mera Jis Se Bahalta Koi Aisa Na Mila

dil mera jis se bahalta koi aisa na mila

but ke bande mile allah ka banda na mila

bazm-e-yaran se phiri baad-e-bahaari mayus

ek sar bhi use aamada-e-sauda na mila

gul ke KHwahan to nazar aae bahut itr-farosh

talib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaida na mila

wah kya rah dikhai hai hamein murshid ne

kar diya kabe ko gum aur kalisa na mila

rang chehre ka to college ne bhi rakkha qaim

rang-e-baatin mein magar bap se beTa na mila

sayyad uTThe jo gazette le ke to lakhon lae

shaiKH quran dikhate phire paisa na mila

hoshyaron mein to ek ek se siwa hain 'akbar'

mujh ko diwanon mein lekin koi tujh sa na mila

(1462) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dil Mera Jis Se Bahalta Koi Aisa Na Mila In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Dil Mera Jis Se Bahalta Koi Aisa Na Mila is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Dil Mera Jis Se Bahalta Koi Aisa Na Mila for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Dil Mera Jis Se Bahalta Koi Aisa Na Mila in PDF.