Dil-e-mayus Mein Wo Shorishen Barpa Nahin Hotin

dil-e-mayus mein wo shorishen barpa nahin hotin

ummiden is qadar TuTin ki ab paida nahin hotin

meri betabiyan bhi juzw hain ek meri hasti ki

ye zahir hai ki maujen KHarij az dariya nahin hotin

wahi pariyan hain ab bhi raja indar ke akhaDe mein

magar shahzada-e-gulfam par shaida nahin hotin

yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be-shak

magar ye shauharon se apne be-parwa nahin hotin

talluq dil ka kya baqi main rakkhun bazm-e-duniya se

wo dilkash suraten ab anjuman-ara nahin hotin

hua hun is qadar afsurda rang-e-bagh-e-hasti se

hawaen fasl-e-gul ki bhi nashat-afza nahin hotin

qaza ke samne bekar hote hain hawas 'akbar'

khuli hoti hain go aankhen magar bina nahin hotin

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-mayus Mein Wo Shorishen Barpa Nahin Hotin In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Dil-e-mayus Mein Wo Shorishen Barpa Nahin Hotin is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Dil-e-mayus Mein Wo Shorishen Barpa Nahin Hotin for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Dil-e-mayus Mein Wo Shorishen Barpa Nahin Hotin in PDF.