Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahin Hun

duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun

bazar se guzra hun KHaridar nahin hun

zinda hun magar zist ki lazzat nahin baqi

har-chand ki hun hosh mein hushyar nahin hun

is KHana-e-hasti se guzar jaunga be-laus

saya hun faqat naqsh-ba-diwar nahin hun

afsurda hun ibrat se dawa ki nahin hajat

gham ka mujhe ye zof hai bimar nahin hun

wo gul hun KHizan ne jise barbaad kiya hai

uljhun kisi daman se main wo KHar nahin hun

ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se

main us ki inayat ka talabgar nahin hun

go dawa-e-taqwa nahin dargah-e-KHuda mein

but jis se hon KHush aisa gunahgar nahin hun

afsurdagi o zof ki kuchh had nahin 'akbar'

kafir ke muqabil mein bhi din-dar nahin hun

(1846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahin Hun In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahin Hun is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahin Hun for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahin Hun in PDF.