Falsafi Ko Bahs Ke Andar KHuda Milta Nahin

falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin

Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin

marifat KHaliq ki aalam mein bahut dushwar hai

shahr-e-tan mein jab ki KHud apna pata milta nahin

ghafilon ke lutf ko kafi hai duniyawi KHushi

aaqilon ko be-gham-e-uqba maza milta nahin

kashti-e-dil ki ilahi bahr-e-hasti mein ho KHair

naKHuda milte hain lekin ba-KHuda milta nahin

ghafilon ko kya sunaun dastan-e-ishq-e-yar

sunne wale milte hain dard-ashna milta nahin

zindagani ka maza milta tha jin ki bazm mein

un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin

sirf zahir ho gaya sarmaya-e-zeb-o-safa

kya tajjub hai jo baatin ba-safa milta nahin

puKHta tabaon par hawadis ka nahin hota asar

kohsaron mein nishan-e-naqsh-e-pa milta nahin

shaiKH-sahib barhaman se lakh barten dosti

be-bhajan gae to mandir se Tika milta nahin

jis pe dil aaya hai wo shirin-ada milta nahin

zindagi hai talKH jine ka maza milta nahin

log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye

keh do be us ke jawani ka maza milta nahin

ahl-e-zahir jis qadar chahen karen bahs-o-jidal

main ye samjha hun KHudi mein to KHuda milta nahin

chal base wo din ki yaron se bhari thi anjuman

hae afsos aaj surat-ashna milta nahin

manzil-e-ishq-o-tawakkul manzil-e-ezaz hai

shah sab baste hain yan koi gada milta nahin

bar taklifon ka mujh par bar-e-ehsan se hai sahl

shukr ki ja hai agar hajat-rawa milta nahin

chandni raaten bahaar apni dikhati hain to kya

be tere mujh ko to lutf ai mah-laqa milta nahin

mani-e-dil ka kare izhaar 'akbar' kis tarah

lafz-e-mauzun bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin

(4205) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falsafi Ko Bahs Ke Andar KHuda Milta Nahin In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Falsafi Ko Bahs Ke Andar KHuda Milta Nahin is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Falsafi Ko Bahs Ke Andar KHuda Milta Nahin for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Falsafi Ko Bahs Ke Andar KHuda Milta Nahin in PDF.