Mil Gaya Shara Se Sharab Ka Rang

mil gaya shara se sharab ka rang

KHub badla gharaz janab ka rang

chal diye shaiKH subh se pahle

uD chala tha zara KHizab ka rang

pai hai tum ne chand si surat

aasmani rahe naqab ka rang

subh ko aap hain gulab ka phul

dopahar ko hai aaftab ka rang

lakh jaanen nisar hain is par

didani hai tere shabab ka rang

TikTiki bandh gai hai buDhon ki

didani hai tere shabab ka rang

josh aata hai hosh jata hai

didani hai tere shabab ka rang

rind-e-ali-maqam hai 'akbar'

bu hai taqwa ki aur sharab ka rang

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mil Gaya Shara Se Sharab Ka Rang In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Mil Gaya Shara Se Sharab Ka Rang is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Mil Gaya Shara Se Sharab Ka Rang for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Mil Gaya Shara Se Sharab Ka Rang in PDF.