Na Bahte Ashk To Tasir Mein Siwa Hote

na bahte ashk to tasir mein siwa hote

sadaf mein rahte ye moti to be-baha hote

mujh aise rind se rakhte zarur hi ulfat

janab-e-shaiKH agar aashiq-e-KHuda hote

gunahgaron ne dekha jamal-e-rahmat ko

kahan nasib ye hota jo be-KHata hote

janab-e-hazrat-e-naseh ka wah kya kahna

jo ek baat na hoti to auliya hote

mazaq-e-ishq nahin sheKH mein ye hai afsos

ye chashni bhi jo hoti to kya se kya hote

mahall-e-shukr hain 'akbar' ye darafshan nazmen

har ek zaban ko ye moti nahin ata hote

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Bahte Ashk To Tasir Mein Siwa Hote In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Na Bahte Ashk To Tasir Mein Siwa Hote is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Na Bahte Ashk To Tasir Mein Siwa Hote for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Na Bahte Ashk To Tasir Mein Siwa Hote in PDF.