Farzi Latifa
KHuda-hafiz musalmanon ka 'akbar'
mujhe to un ki KHush-haali se hai yas
ye aashiq shahid-e-maqsud ke hain
na jaenge wa-lekin sai ke pas
sunaun tum ko ek farzi latifa
kiya hai jis ko main ne zeb-e-qirtas
kaha majnun se ye laila ki man ne
ki beTa tu agar kar le ma pas
to fauran biyah dun laila ko tujh se
bila-diqqat main ban jaun teri sas
kaha majnun ne ye achchhi sunai
kuja aashiq kuja college ki bakwas
kuja ye fitrati josh-e-tabiat
kuja Thunsi hui chizon ka ehsas
baDi bi aap ko kya ho gaya hai
hiran pe ladi jati hai kahin ghas
ye achchhi qadr-dani aap ne ki
mujhe samjha hai koi harcharan-das
dil apna KHun karne ko hun maujud
nahin manzur maghz-sar ka aamas
yahi Thahri jo shart-e-wasl-e-laila
to istifa mera ba-hsarat-o-yas
(7875) Peoples Rate This