Ishrati Ghar Ki Mohabbat Ka Maza Bhul Gae

'ishrati' ghar ki mohabbat ka maza bhul gae

kha ke london ki hawa ahd-e-wafa bhul gae

pahunche hotel mein to phir id ki parwa na rahi

cake ko chakh ke sewaiyon ka maza bhul gae

bhule man bap ko aghyar ke charnon mein wahan

saya-e-kufr paDa nur-e-KHuda bhul gae

mom ki putliyon par aisi tabiat pighli

chaman-e-hind ki pariyon ki ada bhul gae

kaise kaise dil nazuk ko dukhaya tum ne

KHabar-e-faisla-e-roz-e-jaza bhul gae

buKHl hai ahl-e-watan se jo wafa mein tum ko

kya buzurgon ki wo sab jud-o-ata bhul gae

naql maghrib ki tarang aai tumhaare dil mein

aur ye nukta ki meri asl hai kya bhul gae

kya tajjub hai jo laDkon ne bhulaya ghar ko

jab ki buDhe rawish-e-din-e-KHuda bhul gae

(5892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishrati Ghar Ki Mohabbat Ka Maza Bhul Gae In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Ishrati Ghar Ki Mohabbat Ka Maza Bhul Gae is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Ishrati Ghar Ki Mohabbat Ka Maza Bhul Gae for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Ishrati Ghar Ki Mohabbat Ka Maza Bhul Gae in PDF.