Harif-e-gardish-e-ayyam To Bane Hue Hain

harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain

wo aaenge nahin aaenge hum saje hue hain

baDa hi KHushiyon bhara hansta-basta ghar hai mera

isi liye to sabhi qumqume jale hue hain

wo KHud-pasand hai KHud ko hi dekhna chahe

so us ke chaaron taraf aaine lage hue hain

ye kis hasin ki sawari guzarne wali hai

jo kaenat ke sab raste saje hue hain

mahak rahi hai faza us badan ki KHushbu se

chaman hara-bhara hai phul bhi khile hue hain

main us ki samt mein KHud rasta banaunga

wagarna us ki taraf raste bane hue hain

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harif-e-gardish-e-ayyam To Bane Hue Hain In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Harif-e-gardish-e-ayyam To Bane Hue Hain is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Harif-e-gardish-e-ayyam To Bane Hue Hain for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Harif-e-gardish-e-ayyam To Bane Hue Hain in PDF.