Kafir Tha Main KHuda Ka Na Munkir Dua Ka Tha

kafir tha main KHuda ka na munkir dua ka tha

lekin yahan sawal shikast-e-ana ka tha

kuchh ishq-o-ashiqi pe nahin mera e'tiqad

main jis ko chahta tha hasin intiha ka tha

jal kar gira hun sukhe shajar se uDa nahin

main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha

tarik raat mausam-e-barsat jaan-e-zar

girdab pichhe samne tufan hawa ka tha

ek umr baad bhi na shifa ho sake to kya

rag rag mein zahr sadiyon ki aab-o-hawa ka tha

go rahzan ka war bhi kuchh kam na tha magar

jo war kargar hua wo rahnuma ka tha

'akbar' jahan mein kar-kushai buton ki thi

achchha raha jo manne wala KHuda ka tha

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kafir Tha Main KHuda Ka Na Munkir Dua Ka Tha In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Kafir Tha Main KHuda Ka Na Munkir Dua Ka Tha is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Kafir Tha Main KHuda Ka Na Munkir Dua Ka Tha for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Kafir Tha Main KHuda Ka Na Munkir Dua Ka Tha in PDF.