Kaha Tha Usne Mohabbat Ki Aabru Rakhna

kaha tha us ne mohabbat ki aabru rakhna

chubhe hon kitne bhi kanTe gulon ki KHu rakhna

dilon ko toD na Dale tumhaari haq-goi

bajae harf ke aaina ru-ba-ru rakhna

jo waqt ahl-e-wafa se kabhi lahu mange

to sab se pahle lab-e-tegh par gulu rakhna

KHizan se haar na jaana kisi bhi haalat mein

numu mile na mile KHwahish-e-numu rakhna

bura na kahna zamane ko hum zamana hain

hamare baad zamane se guftugu rakhna

faqih-e-shahr ke fatwe ki haisiyat kya hai

to KHud ko apni nigahon mein surKH-ru rakhna

visal-e-dost ki saat bhi aane wali hai

sahar qarib hai 'akbar' abhi wazu rakhna

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaha Tha Usne Mohabbat Ki Aabru Rakhna In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Kaha Tha Usne Mohabbat Ki Aabru Rakhna is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Kaha Tha Usne Mohabbat Ki Aabru Rakhna for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Kaha Tha Usne Mohabbat Ki Aabru Rakhna in PDF.