Badan Se Rishta-e-jaan Motabar Na Tha Mera

badan se rishta-e-jaan mo'tabar na tha mera

main jis mein rahta tha shayad wo ghar na tha mera

qarib hi se wo guzra magar KHabar na hui

dil is tarah to kabhi be-KHabar na tha mera

main misl-e-sabza-e-begana jis chaman mein raha

wahan ke gul na the mere samar na tha mera

na raushni na hararat hi de saka mujh ko

parai aag mein koi sharar na tha mera

zamin ko ru-kash-e-aflak kar diya jis ne

hunar tha kis ka agar wo hunar na tha mera

kuchh aur tha meri tashkil o irtiqa ka sabab

madar sirf hawaon pe gar na tha mera

jo dhup de gaya mujh ko wo mera suraj tha

jo chhanw de na saka wo shajar na tha mera

nahin ki mujh se mere dil ne bewafai ki

lahu se rabt hi kuchh mo'tabar na tha mera

pahunch ke jo sar-e-manzil bichhaD gaya mujh se

wo ham-safar tha magar ham-nazar na tha mera

ek aane wale ka main muntazir to tha 'akbar'

har aane wala magar muntazir na tha mera

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Se Rishta-e-jaan Motabar Na Tha Mera In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Badan Se Rishta-e-jaan Motabar Na Tha Mera is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Badan Se Rishta-e-jaan Motabar Na Tha Mera for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Badan Se Rishta-e-jaan Motabar Na Tha Mera in PDF.