Ata Hui Kise Sanad Nazar Nazar Ki Baat Hai

ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai

hua hai kaun nam-zad nazar nazar ki baat hai

gul o sitara o qamar sabhi hasin hain magar

hai kaun in mein mustanad nazar nazar ki baat hai

izafi e'tibar hai tayyun-e-maqam bhi

hai past bhi buland-qad nazar nazar ki baat hai

bure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar

hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai

zamin agarche bistar-e-gul-o-saman bhi hai magar

kisi ko hai yahi lahad nazar nazar ki baat hai

koi chale tamam umr koi sirf do qadam

kahan hai manzilon ki had nazar nazar ki baat hai

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ata Hui Kise Sanad Nazar Nazar Ki Baat Hai In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Ata Hui Kise Sanad Nazar Nazar Ki Baat Hai is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Ata Hui Kise Sanad Nazar Nazar Ki Baat Hai for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Ata Hui Kise Sanad Nazar Nazar Ki Baat Hai in PDF.