Jab Subh Ki Dahliz Pe Bazar Lagega

jab subh ki dahliz pe bazar lagega

har manzar-e-shab KHwab ki diwar lagega

pal bhar mein bikhar jaenge yaadon ke zaKHire

jab zehn pe ek sang-e-giran-bar lagega

gundhe hain nai shab ne sitaron ke nae haar

kab ghar mera aaina-e-anwar lagega

gar sail-e-KHurafat mein bah jaen ye aankhen

har harf-e-yaqin kalma-e-inkar lagega

haalat na badle to tamanna ki zamin par

TuTi hui ummidon ka ambar lagega

khilte rahe gar phul lahu mein yunhi 'akbar'

har fasl mein dil apna saman-zar lagega

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Subh Ki Dahliz Pe Bazar Lagega In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Jab Subh Ki Dahliz Pe Bazar Lagega is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Jab Subh Ki Dahliz Pe Bazar Lagega for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Jab Subh Ki Dahliz Pe Bazar Lagega in PDF.