Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai

jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai

mail un ki samt zamana kam kam hota hai

raste hi mein ho jati hain baaten bas do-chaar

ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai

mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul

aisi haqiqat jis mein fasana kam kam hota hai

kabhi jo baaten ishq ke sal-o-sin ka hasil thin

ab un baaton ka yaad aana kam kam hota hai

rind sabhi saghar par saghar chhalkate jate hain

kyun labrez mera paimana kam kam hota hai

baat pate ki kar jata hai yun to kabhi kabhi

hosh mein lekin ye diwana kam kam hota hai

kitni muqaddas hogi 'akbar' us bachche ki pyas

jis ki ek Thokar se rawana zamzam hota hai

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai in PDF.