Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai

jin pe ajal tari thi un ko zinda karta hai

suraj jal kar kitne dilon ko ThanDa karta hai

kitne shahr ujaD jate hain kitne jal jate hain

aur chup-chap zamana sab kuchh dekha karta hai

majburon ki baat alag hai un par kya ilzam

jis ko nahin koi majburi wo kya karta hai

himmat wale pal mein badal dete hain duniya ko

sochne wala dil to baiTha socha karta hai

jis basti mein nafsa-nafsi ka qanun chale

us basti mein kaun kisi ki parwa karta hai

pyar bhari aawaz ki lai mein maddham lahje mein

tanhai mein koi mujh se bola karta hai

us ek sham-e-farozan ke hain aur bhi parwane

chand akela kab suraj ka halqa karta hai

ruh barahna nafs barahna zat barhana jis ki

jism pe wo kya kya poshaken pahna karta hai

ashkon ke sailab-e-rawan ko 'akbar' mat roko

bah jae to bujh ye dil ka halka karta hai

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai in PDF.