Sayon Se Bhi Dar Jate Hain Kaise Kaise Log

sayon se bhi Dar jate hain kaise kaise log

jite-ji hi mar jate hain kaise kaise log

chhoD ke mal-o-daulat sari duniya mein apni

KHali hath guzar jate hain kaise kaise log

bujhe dilon ko raushan karne sach ko zinda rakhne

jaan se apni guzar jate hain kaise kaise log

aql-o-KHirad ke bal bute par sab ko hairan kar ke

kaam anokhe kar jate hain kaise kaise log

ho be-laus mohabbat jin ki ghani hon jin ke dil

daman sab ke bhar jate hain aise aise log

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sayon Se Bhi Dar Jate Hain Kaise Kaise Log In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Sayon Se Bhi Dar Jate Hain Kaise Kaise Log is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Sayon Se Bhi Dar Jate Hain Kaise Kaise Log for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Sayon Se Bhi Dar Jate Hain Kaise Kaise Log in PDF.