Khaaliq Aur TaKHliq

shair ne kaha

nazm likhi hai main ne

poshak KHayalat ki si hai main ne

ek aab nai suKHan ko di hai main ne

tarikiyon mein raushni ki hai main ne

tab nazm ne

aah-e-sard bhar ke ye kaha

main dast-e-hawas se bhi gurezan ab tak

thi surat-e-bu-e-gul pareshan ab tak

lekin ye kya ki ho gai hun main aaj

alfaz ke aawaz ke pinjre mein asir

paDhne wale ke walwale ki muhtaj

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khaaliq Aur TaKHliq In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Khaaliq Aur TaKHliq is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Khaaliq Aur TaKHliq for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Khaaliq Aur TaKHliq in PDF.