Aisa Ek Maqam Ho Jis Mein Dil Jaisi Virani Ho

aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho

yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra pani ho

ek sitara raushan ho jo kabhi na bujhne wala ho

rasta jaana-pahchana ho raat bahut an-jaani ho

wo ek pal jo bit gaya us mein hi rahen to achchha hai

kya malum jo pal aae wo fani ho lafani ho

manzar dekhne wala ho par koi na dekhne wala ho

koi na dekhne wala ho aur dur talak hairani ho

ek ajib saman ho jaise sher 'munir'-niyazi ka

ek taraf aabaadi ho aur ek taraf virani ho

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Ek Maqam Ho Jis Mein Dil Jaisi Virani Ho In English By Famous Poet Akbar Masoom. Aisa Ek Maqam Ho Jis Mein Dil Jaisi Virani Ho is written by Akbar Masoom. Read famous Poem Aisa Ek Maqam Ho Jis Mein Dil Jaisi Virani Ho for youth and Student by Akbar Masoom. Free Download Aisa Ek Maqam Ho Jis Mein Dil Jaisi Virani Ho in PDF.