KHud Se Niklun Bhi To Rasta Nahin Aasan Mera

KHud se niklun bhi to rasta nahin aasan mera

meri sochen hain ghani KHauf hai gunjaan mera

hai kisi aur samay par guzar-auqat meri

din KHasara hai mujhe raat hai nuqsan mera

mera tahzib-o-tamaddun hai ye wahshat meri

mera qissa, meri tariKH hai nisyan mera

main kisi aur hi aalam ka makin hun pyare

mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsan mera

din nikalte hi mere KHwab bikhar jate hain

roz girta hai isi farsh pe gul-dan mera

mujh ko jis naw mein aana tha kahin Dub gai

KHwab hai nind ke sahil pe pareshan mera

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Se Niklun Bhi To Rasta Nahin Aasan Mera In English By Famous Poet Akbar Masoom. KHud Se Niklun Bhi To Rasta Nahin Aasan Mera is written by Akbar Masoom. Read famous Poem KHud Se Niklun Bhi To Rasta Nahin Aasan Mera for youth and Student by Akbar Masoom. Free Download KHud Se Niklun Bhi To Rasta Nahin Aasan Mera in PDF.