KHwab Aaram Nahin KHwab Pareshani Hai

KHwab aaram nahin KHwab pareshani hai

mere bistar mein aziyyat ki farawani hai

mujh ko to wo bhi hai malum jo malum nahin

ye samaj-bujh nahin hai meri nadani hai

kuchh use sochne deta hi nahin apne siwa

mera mahbub to mere liye zindani hai

hai musibat mein giraftar musibat meri

jo bhi mushkil hai wo mere liye aasani hai

mauja-e-mai hai bahut mere sukun par betab

zabt-e-girya se mere jam mein tughyani hai

main gunahgar-e-tamanna hun mujhe qatl karo

dil to haara hai magar haar nahin mani hai

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Aaram Nahin KHwab Pareshani Hai In English By Famous Poet Akbar Masoom. KHwab Aaram Nahin KHwab Pareshani Hai is written by Akbar Masoom. Read famous Poem KHwab Aaram Nahin KHwab Pareshani Hai for youth and Student by Akbar Masoom. Free Download KHwab Aaram Nahin KHwab Pareshani Hai in PDF.