Na Apna Nam Na Chehra Badal Ke Aaya Hun

na apna nam na chehra badal ke aaya hun

ki ab ki bar main rasta badal ke aaya hun

wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain

main us ki dhup se saya badal ke aaya hun

zara bhi farq na paDta makan badalne se

wo baam-o-dar wo daricha badal ke aaya hun

mujhe KHabar hai ki duniya badal nahin sakti

isi liye to main chashma badal ke aaya hun

wahi suluk wahi bhik chahta hun main

wahi faqir hun kasa badal ke aaya hun

mujhe batao koi kaam phir se karne ka

main apna KHun pasina badal ke aaya hun

main ho gaya hun kisi nind ka shirakat-dar

main ek hasin ka takiya badal ke aaya hun

suno ki jonk lagai hai main ne patthar mein

main ek nigah ka shisha badal ke aaya hun

mera tariqa mera khel hi nirala hai

na main zaban na lahja badal ke aaya hun

wahi asir hun aur hai meri wahi auqat

main is jahan mein pinjra badal ke aaya hun

(1382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Apna Nam Na Chehra Badal Ke Aaya Hun In English By Famous Poet Akbar Masoom. Na Apna Nam Na Chehra Badal Ke Aaya Hun is written by Akbar Masoom. Read famous Poem Na Apna Nam Na Chehra Badal Ke Aaya Hun for youth and Student by Akbar Masoom. Free Download Na Apna Nam Na Chehra Badal Ke Aaya Hun in PDF.