Nind Mein Gunguna Raha Hun Main

nind mein gunguna raha hun main

KHwab ki dhun bana raha hun main

ek muddat se bagh duniya ka

apne dil mein laga raha hun main

kya bataun tumhein wo shahr tha kya

jis ki aab o hawa raha hun main

ab tujhe mera nam yaad nahin

jab ki tera pata raha hun main

aaj kal to kisi sada ki tarah

apne andar se aa raha hun main

aisa murda tha main ki jine ke

KHauf mein mubtala raha hun main

(986) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nind Mein Gunguna Raha Hun Main In English By Famous Poet Akbar Masoom. Nind Mein Gunguna Raha Hun Main is written by Akbar Masoom. Read famous Poem Nind Mein Gunguna Raha Hun Main for youth and Student by Akbar Masoom. Free Download Nind Mein Gunguna Raha Hun Main in PDF.