Sun! Hijr Aur Visal Ka Jadu Kahan Gaya

sun! hijr aur visal ka jadu kahan gaya

main to kahin nahin tha magar tu kahan gaya

jab KHema-e-KHayal mein taswir hai wahi

wo dasht-e-na-murad wo aahu kahan gaya

bistar pe gir rahi hai siyah aasman se rakh

wo chandni kahan hai wo mah-ru kahan gaya

jis ke baghair ji nahin sakte the ja chuka

par dil se dard aankh se aansu kahan gaya

phir KHak uD rahi hai makan-e-wajud mein

ai jaan-e-be-qarar wo dil-ju kahan gaya

(1007) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sun! Hijr Aur Visal Ka Jadu Kahan Gaya In English By Famous Poet Akbar Masoom. Sun! Hijr Aur Visal Ka Jadu Kahan Gaya is written by Akbar Masoom. Read famous Poem Sun! Hijr Aur Visal Ka Jadu Kahan Gaya for youth and Student by Akbar Masoom. Free Download Sun! Hijr Aur Visal Ka Jadu Kahan Gaya in PDF.