Yahan Mausam Bhi Badlen To Nazare Ek Jaise Hain

yahan mausam bhi badlen to nazare ek jaise hain

hamare roz-o-shab sare ke sare ek jaise hain

hamein har aane wala zaKHm-e-taza de ke jata hai

hamare chand suraj aur sitare ek jaise hain

KHudaya tere dam se apna ghar ab tak salamat hai

wagarna dost aur dushman hamare ek jaise hain

kahin gar farq niklega to bas shiddat ka kuchh warna

yahan par gham hamare aur tumhaare ek jaise hain

main kis ummid pe daman kisi ka tham lun 'aKHtar'

ki sab se dosti mein ab KHasare ek jaise hain

(1681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Mausam Bhi Badlen To Nazare Ek Jaise Hain In English By Famous Poet Akhtar Amaan. Yahan Mausam Bhi Badlen To Nazare Ek Jaise Hain is written by Akhtar Amaan. Read famous Poem Yahan Mausam Bhi Badlen To Nazare Ek Jaise Hain for youth and Student by Akhtar Amaan. Free Download Yahan Mausam Bhi Badlen To Nazare Ek Jaise Hain in PDF.