Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota

tawil-tar hai safar muKHtasar nahin hota

mohabbaton ka shajar be-samar nahin hota

phir us ke baad kai log mil ke bichhDe hain

kisi judai ka dil par asar nahin hota

har ek shaKHs ki apni hi ek manzil hai

koi kisi ka yahan ham-safar nahin hota

tamam umr guzar jati hai kabhi pal mein

kabhi to ek hi lamha basar nahin hota

ye aur baat hai wo apna haal-e-dil na kahe

koi bhi shaKHs yahan be-KHabar nahin hota

ajib log hain ye ahl-e-ishq bhi 'aKHtar'

ki dil to hota hai par in ka sar nahin hota

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota In English By Famous Poet Akhtar Amaan. Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota is written by Akhtar Amaan. Read famous Poem Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota for youth and Student by Akhtar Amaan. Free Download Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota in PDF.