Sharab Aae To Kaif-o-asar Ki Baat Karo

sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo

piyo to bazm mein fikr-o-nazar ki baat karo

fasana-e-KHam-e-gesu mein kaif kuchh bhi nahin

nizam-e-alam-e-zer-o-zabar ki baat karo

chaman mein dam bichhata hai waqt ka sayyaad

gulon se hausla-e-baal-o-par ki baat karo

qaba-e-zohd ki pakizgi to dekh chuke

sharab-KHane mein daman-e-tar ki baat karo

kahaniyan shab-e-hijran ki ho chuki hain tamam

sahar tulua hui hai sahar ki baat karo

chaman chaman mein udhar ho rahi hai had-bandi

khuli fazaen jidhar hain udhar ki baat karo

gulon ka zikr bahaaron mein kar chuke 'aKHtar'

ab aao hosh mein barq-o-sharar ki baat karo

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharab Aae To Kaif-o-asar Ki Baat Karo In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Sharab Aae To Kaif-o-asar Ki Baat Karo is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Sharab Aae To Kaif-o-asar Ki Baat Karo for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Sharab Aae To Kaif-o-asar Ki Baat Karo in PDF.