CharKH Ki Sai-e-jafa Koshish Nakara Hai

charKH ki sai-e-jafa koshish nakara hai

gardish-e-dahr yahan jumbish-e-gahwara hai

chand taron ke talatum se ye aata hai KHayal

dil-e-wahshi koi tufan-zada sayyara hai

bah gae dida-e-nam-nak se dariya lekin

dil wahi ek dahakta hua angara hai

dil hua soz-e-jahannam mein giraftar magar

ruh ab bhi kisi firdaus mein aawara hai

kaisi taqdir ki gardish gham-e-dil ko main ne

gardish-e-gumbad-e-aflak pe de mara hai

mere sheron se tarruz na kar ai naqid-e-fan

meri barbaadi-e-dil hi mera shah-para hai

bahjat-e-fikr pe qadir hun main jab tak 'aKHtar'

mujhe sarmaya-e-andoh bahut pyara hai

(660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

CharKH Ki Sai-e-jafa Koshish Nakara Hai In English By Famous Poet Akhtar Ansari. CharKH Ki Sai-e-jafa Koshish Nakara Hai is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem CharKH Ki Sai-e-jafa Koshish Nakara Hai for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download CharKH Ki Sai-e-jafa Koshish Nakara Hai in PDF.